Social
Runs
Shaadi, Mehndi, Mehmaan – Chotu Sambhalay Ga Har Daud-Bhaag
Aap k social kaam ab hm smbhaaln gy. Wo kam jo aap krna nahi chahty hm handle karn gy khush-asloobi k sath.
Social Life Hui Aasan, Jugari Chotu K Sath!
Event koi bhi ho bina daud-bhaag k nahi hoty. Kabhi guests pick karna, kabhi mithai taqseem, kabhi sound system book karna. Ham aap k extra pair of hands hai jo aap ki social life me aap k hath bataty hain. Aap bas tayar ho kar ghazab dhayn, daud-dhoop ham karengy.
Mehndi/Shaadi Errands
Koi event ho or kaam sary akhri wqt pr mukammal ho jayn? Namumkin! Mehndi k thaal sy tailor or koi bhi kaam hm zimmadari sy handle kar ln gy.
Decoration Items Hunt
Market sy kisi decoration item ko hunt krna hai ya purchase? Hamain details batayn. Ham sab ly aayn gy.
Guests Receiving
Event hai, guests aa rahy hain lekin unhn pick karny ka time nahi hai? Ham pick karn gy or aap ki location par drop karn gy.
Cards Distribution
Shadi k card rishatadaron k ghar bhaijny hain ya doston k ghar. Hamn location details or cards dijye. Ham zimmadari sy taqseem kar dn gy.
Sound System Booking
Event sar par hai lekn sound system abhi tak book nahi kiya. Hmn btayn hm book krwa dn gy.
Mithai Taqseem
Khushi ka moqa hai. Bat pakki, aulad ki khushi, ya kisi kamyabi ki. Mithai jahan jahan taqseem krwani hai. Hmn btayn hm taqseem kr aayn gy.
Multan Ne Kaha, Bhai Kamaal Hai
Jagah jagah, konay konay ki bhaag dor ki thakawat sy apni jaan churwayn. Jugari Chotu bulayn or aaram karn!
Jagah Jagah Macha hai Shor, Jugari Chotu ki Bat hai Or!
Pick up your phone or whatsapp us to get "Chotu" on your doorstep!